Kahani ka discription gangubai ke style main:- "Suno re... Ab ye 1000 panno ki ramayan likhne ka shauk nahi hai mujhe, aur tumhare paas itna waqt bhi kahan hai? Do chaar lafz padhoge aur tay kar loge ki kahani mein dum hai ya nahi. Faisla karne ki badi jaldi rehti hai na tum logon ko? Toh chalo, ek hi shabd mein bolti hoon-Kahani SUPERHIT hai! Aisi kahani na toh tumne kisi app pe dekhi hogi, na kisi panne pe padhi hogi. Lovelywisper ka vaada hai. Baki zada khujli hai toh pehle chapter mein jaakar 'Writer's POV' chaat lo... samajh aa jayega ki maal mein kitna dum hai. Aur agar samajh aa gaya, toh phir tumhara dil khol kar swagat hai meri duniya mein. Aaoge na?" Aur ek bat aur Dhandha karna hai toh imandari se karo, chori-chakari se nahi. Yeh kahani meri mehnat hai, mera khoon-pasina hai. Maine ise apne dil se likha hai, toh ise churane ki koshish bhi mat karna. Yaad rakhna, lovelywisper ke ilake mein chori nahi chalti. Agar kisi ne meri is kahani ko kahin aur copy karne ki ya churane ki jurrat ki na... toh phir mera gussa jhelne ki taqat bhi rakhna. Main sirf hath jodna nahi, apni cheez ki hifaazat karna bhi jaanti hoon. Agle ki mehnat ki izzat karo, toh hi izzat milegi. Hadd mein rahoge, toh fayde mein rahoge!"
Story
Sree - ek unsuljhi raaz




Write a comment ...